Heart~Beat

Naina kaash mein tumhe bataa sakta, mein tumhe kitna chahta hun I love you, I love you very very much naina mein aankhe band karta hun to tumhe dekhta hun aankhe kholta hun to tumhe dekhna chahta hun tum paas nahi hoti to tumhe charo taraf mehsoos karta hun har pal har ghadi har waqt merre naina mere naina ko doondate hain ise pyar kaho paagalpan ya mere dil ki dhadkan mere liye ek hi baat hai pyar to bahut log karte hain lekin mere jaisa pyar koi nahi kar sakta kyonki kisi ke paas tum jo nahi ho mein tumhe bhool nahi sakta naina mein tumhe bhoolna hi nahi chahta tum meri ho, mein tumhe zindagi bhar pyar karunga marte dam tak pyar karunga aur uske baad bhi

Sunday, February 21, 2010

Wada Raha Pyaar Se Pyaar Ka


Wada Raha Wada Raha Wada Raha
Wada Raha Pyaar Se Pyaar Ka
Ab Hum Naa Honge Judaa
Wada Raha Pyaar Se Pyaar Ka
Ab Hum Naa Honge Judaa
Yeh Meri Dhadkane Sun Raha Hai Khuda
Chahe Tumhe Kis Kadar Mera Dil
Tumko Nahi Hai Pata
Yeh Meri Dhadkane Sunraha Hai Khuda
Wada Raha

Dono Jahan Ko Bhoola Ho Main
Aisi Lagi Hai Tujhse Lagaan
Chahe Kaho Ise Awaargi
Chahe Kaho Ise Deewanapaan
Dil Ne Kaha Dil Ne Suna
Maine Tumhe Dilbar Chuna
Ab Dorriyan Naa Rahi Darmiyan
Kya Rang Layi Wafa
Yeh Meri Dhadkane Sun Raha Hai Khuda
Wada Raha Pyaar Se Pyaar Ka
Ab Hum Naa Honge Judaa
Yeh Meri Dhadkane Sunraha Hai Khuda

Dekha Tumhe To Aisa Laga
Mujhko Mila Hai Manzil Ka Pata
Chalna Hai Humko Ab Saath Mein
Tumse Juda Mera Raasta
Maine To Lee Hai Kasam
Paao Tumhe Janmo Janam
Sajde Kiye Maine Shaamo Saher
Maanga Hai Tumko Sada
Haan Yeh Meri Dhadkane Sun Raha Hai Khuda
Wada Raha Pyaar Se Pyaar Ka
Ab Hum Naa Honge Judaa
Yeh Meri Dhadkane Sunraha Hai Khuda
Wada Raha Yeh Wada Raha
Pyaar Se Pyaar Ka Pyaar Se Pyaar Ka
Wada Raha Yeh Wada Raha
Pyaar Se Pyaar Ka Pyaar Se Pyaar Ka
Wada Raha Yeh Wada Raha
Pyaar Se Pyaar Ka Pyaar Se Pyaar Ka
Wada Raha Yeh Wada Raha

Tujhe har khushi de di


Rabba mere ishq kisi ko
Aise na tadpaye... hoy
Dil ki baat rahe is dil mein,
Hothon tak na aaye,
Na aaye...

Tujhe yaad na meri aayee
Kisi se ab kya kehna
Tujhe yaad na meri aayee
Kisi se ab kya kehna
Dil roya ki ankh bhar aayee
Dil roya ki ankh bhar aayee
Kisi se ab kya kehna
Tujhe yaad na meri aayee
Kisi se ab kya kehna
Dil roya ki ankh bhar aayee
Dil roya ki ankh bhar aayee
Kisi se ab kya kehna
Tujhe yaad na meri aayee
Kisi se ab kya kehna... 2

Tujhe har khushi de di
Labon ki hansi de di
Zulfon ki ghata lehraayee
Paigaam wafa ke laayee
Tune acchhi preet nibhayee
Kisi se ab kya kehna
Tujhe yaad na meri aayee
Kisi se ab kya kehna

Wo chand mere ghar-aangan
Ab to aayeega
Tere soone is aanchal ko
Wo bhar jaayega
Teri kar di god bharaayee,
Teri kar di god bharaayee,
Kisi se ab kya kehna
Dil roya ki ankh bhar aayee
Dil roya ki ankh bhar aayee
Kisi se ab kya kehna
Tujhe yaad na meri aayee
Kisi se ab kya kehna

O mahinyaa, O mahinyaa

Khata ho gayi mujhse
Kaha kuch nahin tumse
Ikrar jo tum kar paate
To door kabhi na jaate
Koi samjhe na peer parayee
Koi samjhe na peer parayee
Kisi se ab kya kehna

Tujhe yaad na meri aayee
Kisi se ab kya kehna
Tujhe yaad na meri aayee
Kisi se ab kya kehna
Dil roya ki ankh bhar aayee
Dil roya ki ankh bhar aayee
Kisi se ab kya kehna

Tujhe yaad na meri aayee
Kisi se ab kya kehna
Tujhe yaad na meri aayee
Kisi se ab kya kehna

yaaraa raath se din karnaa


doston se
doston se jhootee mootee doosaron ka naam le ke phir meree baatein karnaa
yaaraa raath se din karnaa
lambee judaayee teree badaa mushkil hai aahon se dil bharnaa
yaaraa raath se din karnaa
kab ye pooree hogi door ye dooree hogi
kab ye pooree hogi door ye dooree hogi roz safar karnaa
yaaraa raath se din karnaa

chupake se chupake se raath ki chaadar thale
chaand kee bhee aahat naa ho baadal ke peechhe chale
jale kataraa kataraa gale kataraa kataraa raath bhee naa hile aadhee aadhee
raath bhee naa hile aadhee aadhee ye
chupake se chupake se raath kee chaadar thale

farvaree ki sardiyon ki dhoop mein
moondee moondee ankhiyon se dekhanaa
haath kee aad se
neemee neemee thand aur aag mein
haule haule maarvaa ke raag mein
meer kee baath ho
din bhee na doobe raath naa aaye shaam kabhee na dhale
shaam dhale to subah naa aaye raath hee raath chale
chupake se chupake se raath kee chaadar thale
chaand kee bhee aahat naa ho baadal ke peechhe chale

doston se jhootee mootee doosaron ka naam le ke phir meree baatein karnaa
yaaraa raath se din karnaa
lambee judaayee teree badaa mushkil hai aahon se dil bharnaa
yaaraa raath se din karnaa
kab ye pooree hogi door ye dooree hogi
kab ye pooree hogi door ye dooree hogi roz safar karnaa
yaaraa raath se din karnaa

tujh bina pagalee ye purvayee
tujh bina pagalee ye purvayee
aake meri chunari mein bhar gayee
tu kabhee aise hee
gale lag jaise ye purvayee
aa gale lag jaise ye purvayee
saathiya sun tuu
kal jo mujhuko neend naa aaye paas bulaa lena
godi mein apnee sar rakh lenaa loree sunaa denaa

chupake se raath ki chaadar thale
chaand kee bhee aahat naa ho baadal ke peechhe chale
jale kataraa kataraa gale kataraa kataraa raath bhee naa hile aadhee aadhee
raath bhee naa hile aadhee aadhee ye
chupake se raath ki chaadar thale
chaand kee bhee aahat naa ho baadal ke peechhe chale

Main Sirf Saath Dene Aaya Hoon


Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise

Jaanta Hoon Aapko Sahare Ki Zarurat Nahin
Main Sirf Saath Dene Aaya Hoon

Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Mujhse Kuch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise

Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise

Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Zindagi Tej Bahut Tej Chali Ho Jaise
Zindagi Tej Bahut Tej Chali Ho Jaise

Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rehta Hoon Main
Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rahta Hoon Main
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise

Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise

waqt insaan pe aiesaa bhee kabhee aataa hai


dil kee aawaaz bhee sun mere fasaane pe naa jaa
meree nazaron kee taraf dekh zamaane pe naa jaa

ik nazar dekh le, jeene kee ijaazat de de
roothane waale woh pahalee see mohabbat de de
ishq maasoom hai, ilzaam lagaane pe naa jaa
meree nazaron kee taraf dekh zamaane pe naa jaa

waqt insaan pe aiesaa bhee kabhee aataa hai
raah mein chhod ke saayaa bhee chalaa jaataa hai
din bhee nikalegaa kabhee, raat ke aane pe naa jaa
meree nazaron kee taraf dekh zamaane pe naa jaa

main haqikat hoon, ye ik roz dikhaaoongaa tujhe
begunaahee pe mohabbat kee rulaaoongaa tujhe
daag dil ke naheen mitaten hain, mitaane pe naa jaa
meree nazaron kee taraf dekh zamaane pe naa jaa

dil kee aawaaz bhee sun mere fasaane pe naa jaa
meree nazaron kee taraf dekh zamaane pe naa jaa

Gori teri aankhen kahe


Male:
Gori teri aankhen kahe
raat bhar sooyi nahi
chanda dekhe chupke kahi
aur taare jaante hain sabhi
ke kisne dil le liya
kisko dil de diya
yeh dil ka lagana koi jaanta nahi
Gori teri aankhen kahe
raat bhar sooyi nahi

Female
Dil mein teri yaad basi
tu samjhe ga nahi
jo hain mere paas hai tera
mera kuch nahi
kyun akhiya chupao
kyun tujhko satao
dil tod ke tera
mein kya pao
bol piya bol piya bol
piya bol piya bol piyaaa bol

saajan teri baatein badi
ke mein raat bhar sooyi nahi
chanda ne bhi dekha nahi
aur taaro ko yeh maloom nahi
ke meine tujhe dil diya
tera dil le liya
mera tu hi hain bahana
kyun manta nahi
saajan teri baatein badi
ke mein raat bhar sooyi nahi

Male
Aate jaate mausam jaise
lagte the sabhi
humne bhi to manga rab se
apna bhi koi
Duniya se bachao
palko mein chupao
dil jeet ke tera
sab ko batao
sun gori sun gori sun gori sunnn
sun gori sun gori sunnnnn

Gori teri aankhen kahe
jaane anjaane mein kahi
chanda ne bhi dekha nahi
aur taaro ne bhi jaana nahi
ke tune mujhe dil diya
mera dil de diya
mera jeene ka bahana
koi aur nahi

gori teri aanken

Maut Se Bhi Mohabbat Nibhaaenge Ham


Zindagi Ka Safar Hai Ye Kaisa Safar
Koi Samjha Nahin Koi Jaana Nahin
Hai Ye Kaisi Dagar Chalte Hain Sab Magar
Koi Samjha Nahin Koi Jaana Nahin

Zindagi Ko Bahut Pyaar Hamne Kiya
Maut Se Bhi Mohabbat Nibhaaenge Ham
Rote Rote Zamaane Mein Aaye Magar
Hanste Hanste Zamaane Se Jaaenge Ham
Jaaenge Par Kidhar Hai Kise Ye Khabar
Koi Samjha Nahin Koi Jaana Nahin

Aise Jeevan Bhi Hain Jo Jiye Hi Nahin
Jinko Jeene Se Pehle Hi Maut Aa Gayi
Phool Aise Bhi Hain Jo Khile Hi Nahin
Jinko Khilne Se Pehle Fiza Kha Gai
Hai Pareshaan Nazar Thak Gaye Chaaraagar
Koi Samjha Nahin Koi Jaana Nahin